Youtube Channel Me Website Kaise Add Kare
Friends YouTube channel me website add karne ke bad verify karna bohot jaruri hota h aaksar kuchh log yesa karte h ki YouTube channel se website to link kar dete h par verify nahi karte h or unki website pending me rehti ha
Jab ham apne youtube channel me website add kar ke verify kar dete h to hamara channel ko YouTube channel ek brand ke jese samjh ne lagta h or YouTube hamare video ko search me jaldi rank karta h
YouTube channel or website link karne ke fayde -
YouTube channel se website ko link karne ke kuchh fayde hote h jo me apko kuchh fayde yaha share kar raha hu.
1. YouTube hamare channel ko brand ke jese dekhta h
2. YouTube video search rank improve hoti h
3. Apni website ko YouTube se backlink mil jata h
YouTube channel se apna blog or website ko add karne ke liye sabse important h ki apka blog ya website google webmaster me verify hona chahiye yadi apki website webmaster tool me verify nahi h to ap pehle apne website ko verify kar lijiye
To chaliye friends aage badhte h or apne youtube channel se website ko link karte h or youtube me apni website ko verify karte h
YouTube channel me website add kese kare -
Apne YouTube channel me website add karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apni website link jarur kar payenge.1. Sabse pehle ap Youtube.com par jaye
2. Ab ap apni gmail id se login kare or apna YouTube channel open kar
3. Youtube channel open ho jane ke bad ap video manager (creator studio) par click kare
4. Ab ap yaha par CHANNEL par click kare
5. Channel par click karne ke bad apko kuchh option or dikhai denge ap Advanced par click kare
6. Ab ap niche scroll down kare ab apko screen par associated website option dikhai dega
7. Yaha par ap box me apni website ka address add kare ap apna url kuchh is type se add kare
WWW.SUBTECHGUIDE.COM
8. Website Url add karne ke bad ap add par click kare
Ab apki website youtube channel me add ho gayi h yadi apki website YouTube me add karne ke bad pending dikhata h to apko apni website ko YouTube par verify karna hota
Website YouTube me verify kese kare -
Apni website ko YouTube channel me verify karne ke liye ap aage bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apni website ko verify jarur kar payenge1. Sabse pehle ap apne youtube channel open kare
2. Ab ap video manager (creator studio) par click kare
3. Ab ap CHANNEL par click kare uske bad Advanced par click kare
4. Ab apko yaha par apki add ki gayi website dikhai degi ap uske niche verify par click kare
5. Ab apko yaha par ek HTML Tag dikhai dega ap us tag ko copy kare
6. Ab ap apni website theme section par jaye
7. Ab ap edit html par click kare
8. Ab apne jo html tag copy kiye h us code ko ap ke niche past kar dijiye
9. HTML Tag past karne ke bad save theme par click kare
10. Ab YouTube par jaye or verify par click kare
11. Ab apki website youtube channel me successfully verify ho gayi h
Is prakar se ham apne apne youtube channel me apni website ko add kar sakte h or website ko youtube me verify kar sakte h
Friends kesi lagi ye post batana jarur yadi apko koi problem aaye to ap comments karna me apki help jarur karunga next post me fir se milenge tab tak ke liye bye....






wowwww http://www.kipkopmusic.com/maine-tujhko-dekha-golmaal-again-mp3-and-song-and-hd-video-download-with-lyrics/
ReplyDeletewowwwww
ReplyDelete