Top Blog Topics Ideas For New Bloggers In Hindi jankari
Hello Dosto Mera , Aaj ka Title Dekh kar aapko pata chal gaya hoga ki is post me kya hoga. aaj me aapko Top 10 Blog Topic ideas dene wala hu. agar aap apna khud ka blog ya website suru karna chahte hai to ye post aapke liye jaruri hai.
Friends mene dekha hai ki bohot sare log blogging karna chahte hai lekin unko pata nahi hota konsa blog topic accha rahenga “What is a good blog topic?”. to aaj unko ye post padhke idea aa jayega ki unko kis topic par blog banana chahiye. waise to blogging ke bohot sare topic hai lekin yaha pe me jo popular blogging topic hai vo batane wala hu. to aap is post ko pura padhiye jisse aap best blog niche ideas mil jayega.
Top 10 Blog Topic Ideas for New Bloggers in Hindi
1. Health Blog
Agar aapko health care ki jankari acchi hai to health blog banana bohot badiya hai. kyunki helth blog ki search me jyada demand hoti hai. aap blog me deshi nuske aur ayurvedajaisi jankari bhi share kar sakte hai. Health blog ke liye best topic hai.
2. Tech Blog
Dosto google tech blog ko jyada pasand karta hai aur log bhi. to dosto agar aapko technology ke baare me achhi jankari hai to aap us jankari ko blog banake share kar sakte hai. tech blog ek achha topic hai blogging ke liye.
3. Fashion Blog
Agar aapko Fashion me interest hai to aap is topic pe bhi blog bana sakte hai. aap Fashion ke baare me ya Nayi Fashionable chijo ko apne blog pe share karke achhi earning kar sakte hai.
4. Travel Blog
Agar aapko Ghumna ya Travelling karna pasand hai to aap Traveling ke Topic par blog bana kar acchi earning kar sakte hai. isme aapko jis jagah jaate hai us jagah ke baare me aur kuch photo apni post me share karne hote hai. Traveling bhi best blog topic hai.
5. Food and Recipe Blog
Aapko Agar Khaane me Ya Cooking ka shokh hai to aap is topic pe ek badiya blog bana sakte hai. Food and Recipe bhi best topic hai blogging ke liye.
6. Education Blog
Dosto Educational blog ki Demand bhi kam nahi hai. agar aap Teacher hai ya aapko Education ki acchi Janakari hai to aap is topic pe blog bana sakte hai. aap blog me education ki jankari l aur study material bhi share kar sakte hai.
7. Beauty Tips
Beauty ke upar blog banake aap acchi earning kar sakte hai. agar aapko beauty ke baare me jankari hai ya aap logo ko beauty tips dena chahte hai to blog bana kar de sakte hai.
8. Job Information Blog
Dosto Job ki Information ya Job ki Advertising ka blog banana ek badiya topic hai. 70-80%log Job ke liye Internet pe search karte hai. to agar aap job ke kisi topic pe blog banayenge to aapko isme Saflta jarur milegi.
9. Review Blog
Dosto Review blog banana ek badiya topic hai. Review blog banake aap kisi bhi chij Mobile, Car, Bike Etc. ke baare me Review likh kar apne Blog pe share kar sakte hai. ye bhi ek best blogging topic hai.
10. Motivational Blog
Dosto mene dekha hai ki Motivational Blog ka Traffic sabse high hota hai. agar aap logo ko motivate karna chahte hai aur aapki writing skill best hai to aapko jald hi Motivational Blog banana chahiye. kyuki logo ko motivate hona pasand hai is liye aap apne blog pe motivational post share karke blogging me career bana sakte hai.
To dosto aap upar ke kisi bhi Topic ko Blogging ke liye chun saakte hai. Iiske alawa bhi Bohot sare topic hai lekin upar ke jo topic hai vo bohot hi popular hai. is topic pe aapko successful hone ke chance bohot jyada hai.
I hope ये पोस्ट आपको अच्छी लगही होगी. यदि आपको यह पोस्ट अच्छी लगे तो आप इसे friend के साथ जरुर share करे. क्योंकि हम हमेशा आपके लिए इसी तरह की पोस्ट लेके आते रहे.

Bahut hi badhiya article .... Thanks for this!! :)
ReplyDelete